
(This poem is by imagining a girl an hope u all will like it....)
Raah mein chal rahi thi akeli si,
Ithlati lehrati chali jaa rahi thi ek paheli si,
Yun hi jo mudkar dekha maine,
Khayali badalon ko jab ankhon par se hataya maine,
To apni tanhayi mein kisi anjaan ko paya
Anjaan hokar bhi wo apna tha,
Begano ki basti mein mera sapna salona tha,
Akhir meri andheri raaton ka wo sawera tha,
Aankhen jo band ki maine to pa liya,
Par khuli ankhone ne usse mita diya.
Unhi raahon par bar bar jaya karte hain,
Andheri barsti raaton mein jhoom jaya karte hain,
Sapno ki raah mein behak jane ka ji karta hai,
Unki yaadon mein khud ko bhul jane ka ji karta hai.
Apna aur dil ka rishta bhi ajeeb hota hai,
Dil yun hi kisiko apneaap ko saup deta hai,
Khayali chehra is kadar dil par kaboo kar leta hai,
Ki unke bina kuch bhi apna nahi lagta hai.
Uski dhundhli si jhalak aaj bhi yaad hai,
Sapno ki bochaar mein bheegi chunri aaj bhi saath hai,
Wo chehra tho kuch theek se yaad nahi,
Par aaj bhi uske hone ka ehsaas hai,
Akhir mere sapno ko aaj bhi uska intezaar hai…..
Copy Written
Ritesh Kotian