Tute sapne....

Dadi ki sunayi huyi vo sapno ki kahani,
Chanda mama ki vo lori ma ki zunbani,
Band ankhen kar sapno ke badlon ka chehre par mehsoos karna,
Akeli raaton mein chand se apni khwahish zahir karna,
Jaise sab kuch hamse kahin chhut gaya,
Jaise koi apna humse rooth
Nidar apni raah par chale jaa rahe the,
Apne lakshay ko samne rakh uske piche daude ja rahe the,
Umeed se ek hath ko thama kiya karte the,
Dusre hath se rab ko tham liya karte the,
Rab ne hamara hath yun chhora,
Umeed ne bhi hume dubara mudkar nahi dekha.
Lakhon ki bhid mein kal bhi akela tha,
Par sapno ka daman thame badte ja rahai the,
Lakhon ki bhid mein aaj bhi akela reh gaya hain,
Par aaj na to sapne hain na hi unke hone ka ehsaas hai.
Ankhen bhi sookh gayi hain rote rote,
Jaise nadiyan thak gayi hain behte behte,
Sapne dekhna agar gunah hai tho,
Ye gunah hum se hua hai,
Dil tutna agar iski sazza hai ,
Tho ye humne zindagi bhar ke liye kubul kiya hai.
Khushiyan.....

Umangg ki kaliyan aaj kyun khili hain,
Khushiyon ne ek baar phir karvat li hai,
Labon pe hansi ankhon mein nami bade din baad aayi hai,
In ansuon ne bade din baad palkon ko dastak di hai.
Is rehsymai khushi ko bayan karna zaara mushkil hai,
Jaise door bikhre taron ko ginna namumkin hai,
Surrya ki kiran ek nayi shuruat deti hai,
Par chandni raatein bhi to sapno ko sanjone ki raat deti hai.
Is anjaani khushi ko kya naam dun,
Ho sake to badle mein ek hansi ki saugaat dun,
Gamon ke bich khushiyan dhundna mushkil zaroor hota hai,
Par yaadon ke bich,
Hansi ki ek lehar ka maza kuch aur hi hota hai.
Aankhon ke samne khushiyan bikhri padi hain,
Inhe sametne ke liye hathon ki kami lag rahi hai,
Hansti khilkhilati khushiyan mujhe bula rahi hain,
Bahein phelay mujhe pukar rahi hain,
Hath jo badaya
Gamo ke andhkaar se nikalkar,
Khushiyon mein dhakel diya.
Ab kyun ankhon mein phir se nami hai,
Khilkhilati khushiyan aansuon ko poch rahi hain,
Ye ansu bhi bade ajeeb hote hain,
Bina puche apni rah bana liya karte hain.
Kash ye aansuon ki lehar roj aye,
Kash ye bikhri khushiyan mere seene mein sama jayein,
Par jana to inhe bhi hoga ek na ek din,
Tho phir khushiyon ka jashan hi kyun na manaya jaye.
Edit Written By Ritesh Kotian